be-wajah khud ko na ab aur sataana hoga
dard dil ka yun zaroori hi bhulaana hoga
seekh har haal mein ab muskuraa kar rahna bhi
rota dil ho bhale sab ko hi hansaana hoga
rooth kar yun na zamaane se tu rahna saathi
apne man ko de tasalli hi manana hoga
man kii takleef samajhta nahin koii bhi to
marz ko apne sahi khud hi karaana hoga
raat kii subah to phir preet chali aayegi hi
zindagi se yun hi ab haath milaana hoga
बे-वजह ख़ुद को न अब और सताना होगा
दर्द दिल का यूँ ज़रूरी ही भुलाना होगा
सीख हर हाल में अब मुस्कुरा कर रहना भी
रोता दिल हो भले सब को ही हँसाना होगा
रूठ कर यूँ न ज़माने से तू रहना साथी
अपने मन को दे तसल्ली ही मनाना होगा
मन की तकलीफ़ समझता नहीं कोई भी तो
मर्ज़ को अपने सही ख़ुद ही कराना होगा
रात की सुब्ह तो फिर प्रीत चली आएगी ही
ज़िंदगी से यूँ ही अब हाथ मिलाना होगा
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari