sang-e-be-qeemat tarasha aur jauhar kar diya | संग-ए-बे-क़ीमत तराशा और जौहर कर दिया

  - Qaisar hayat

sang-e-be-qeemat tarasha aur jauhar kar diya
sham-e-ilm-o-aagahi se dil munavvar kar daya

fikr-o-fan tahzeeb-o-hikmat di shu'ur-o-aagahi
gum-shudaan-e-raah ko goya ki rahbar kar daya

chashm-e-faiz aur dast vo paaras-sifat jab choo gaye
mujh ko mitti se uthaya aur falak par kar diya

de jazaa allah tu is baagbaan-e-ilm ko
jis ne gunchon ko khilaaya aur gul-e-tar kar diya

khaaka-e-tasveer tha main khaali-az-rang-e-hayaat
yun sajaaya aap ne mujh ko ki qaisar kar diya

संग-ए-बे-क़ीमत तराशा और जौहर कर दिया
शम-ए-इल्म-ओ-आगही से दिल मुनव्वर कर दया

फ़िक्र-ओ-फ़न तहज़ीब-ओ-हिकमत दी शुऊ'र-ओ-आगही
गुम-शुदान-ए-राह को गोया कि रहबर कर दया

चश्म-ए-फ़ैज़ और दस्त वो पारस-सिफ़त जब छू गए
मुझ को मिट्टी से उठाया और फ़लक पर कर दिया

दे जज़ा अल्लाह तू इस बाग़बान-ए-इल्म को
जिस ने ग़ुंचों को खिलाया और गुल-ए-तर कर दिया

ख़ाका-ए-तसवीर था मैं ख़ाली-अज़-रंग-ए-हयात
यूँ सजाया आप ने मुझ को कि 'क़ैसर' कर दिया

  - Qaisar hayat

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar hayat

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari