kab tak teri bujhti aankhen
neendon se bojhal chaukhat mein
tootte taaron girte chanaaron ka ujda manzar dekhengi
ye chaukhat to
guzre pal ka roop dikha kar
is aafaq ki door-ufaadaa seedhi mein gum ho jaayegi
jis ki aakhiri khidki
fate purane kapdon ki tooti dookaan mein khulti hai
is chaukhat se baahar aa kar
ghaas pe nange paanv chalna
ghaas jise shabnam ki mo'attar kyoon ne ashnaan diya hai
yahin kahi us ke pahluu mein
hawa vo sapne baant rahi hai
jis ko is chhote se ghar ki
shauq-e-sehr mein
abhi haqeeqat banna hai
कब तक तेरी बुझती आँखें
नींदों से बोझल चौखट में
टूटते तारों गिरते चनारों का उजड़ा मंज़र देखेंगी
ये चौखट तो
गुज़रे पल का रूप दिखा कर
इस आफ़ाक़ की दूर-उफ़्तादा सीढ़ी में गुम हो जाएगी
जिस की आख़िरी खिड़की
फटे पुराने कपड़ों की टूटी दूकान में खुलती है
इस चौखट से बाहर आ कर
घास पे नंगे पाँव चलना
घास जिसे शबनम की मोअ'त्तर बूंदों ने अश्नान दिया है
यहीं कहीं उस के पहलू में
हवा वो सपने बाँट रही है
जिस को इस छोटे से घर की
शौक़-ए-सहर में
अभी हक़ीक़त बनना है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Qamar Javed
As you were reading Nazara Shayari Shayari