kiya hai pyaar jise ham ne zindagi ki tarah
vo aashna bhi mila ham se ajnabi ki tarah
kise khabar thi badhegi kuchh aur taarikee
chhupega vo kisi badli mein chaandni ki tarah
badha ke pyaas meri us ne haath chhod diya
vo kar raha tha muravvat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki vo bhi na ban saka apna
qubool ham ne kiye jis ke gham khushi ki tarah
kabhi na socha tha ham ne qatil us ke liye
karega ham pe sitam vo bhi har kisi ki tarah
किया है प्यार जिसे हम ने ज़िंदगी की तरह
वो आश्ना भी मिला हम से अजनबी की तरह
किसे ख़बर थी बढ़ेगी कुछ और तारीकी
छुपेगा वो किसी बदली में चाँदनी की तरह
बढ़ा के प्यास मिरी उस ने हाथ छोड़ दिया
वो कर रहा था मुरव्वत भी दिल-लगी की तरह
सितम तो ये है कि वो भी न बन सका अपना
क़ुबूल हम ने किए जिस के ग़म ख़ुशी की तरह
कभी न सोचा था हम ने 'क़तील' उस के लिए
करेगा हम पे सितम वो भी हर किसी की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qateel Shifai
our suggestion based on Qateel Shifai
As you were reading Mashwara Shayari Shayari