raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath | राब्ता लाख सही क़ाफ़िला-सालार के साथ

  - Qateel Shifai

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath
ham ko chalna hai magar waqt ki raftaar ke saath

gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche
dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath

kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon
gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath

lafz chunta hoon to mafhoom badal jaata hai
ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath

dushmani mujh se kiye ja magar apna ban kar
jaan le le meri sayyaad magar pyaar ke saath

do ghadi aao mil aayein kisi ghalib se qatil
hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

राब्ता लाख सही क़ाफ़िला-सालार के साथ
हम को चलना है मगर वक़्त की रफ़्तार के साथ

ग़म लगे रहते हैं हर आन ख़ुशी के पीछे
दुश्मनी धूप की है साया-ए-दीवार के साथ

किस तरह अपनी मोहब्बत की मैं तकमील करूँ
ग़म-ए-हस्ती भी तो शामिल है ग़म-ए-यार के साथ

लफ़्ज़ चुनता हूँ तो मफ़्हूम बदल जाता है
इक न इक ख़ौफ़ भी है जुरअत-ए-इज़हार के साथ

दुश्मनी मुझ से किए जा मगर अपना बन कर
जान ले ले मिरी सय्याद मगर प्यार के साथ

दो घड़ी आओ मिल आएँ किसी 'ग़ालिब' से 'क़तील'
हज़रत 'ज़ौक़' तो वाबस्ता हैं दरबार के साथ

  - Qateel Shifai

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qateel Shifai

As you were reading Shayari by Qateel Shifai

Similar Writers

our suggestion based on Qateel Shifai

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari