dekh apna khayal kar baba | देख अपना ख़याल कर बाबा

  - Rafeeq Anjum

dekh apna khayal kar baba
ho gai raat ja tu ghar baba

dhoop utaregi tere kamre mein
rakh dariche ko khol kar baba

yaad rakhna mujhe duaon mein
taaki aasaan rahe safar baba

jis ka hai intizaar barson se
jaane kab hogi vo sehar baba

uth raha hai usi taraf vo dhuaan
apni kutiya ki le khabar baba

loot na jaaye mata-e-dil apni
ye luteron ka hai nagar baba

is tarah gaav se gaya anjum
phir na aaya vo laut kar baba

देख अपना ख़याल कर बाबा
हो गई रात जा तू घर बाबा

धूप उतरेगी तेरे कमरे में
रख दरीचे को खोल कर बाबा

याद रखना मुझे दुआओं में
ताकि आसाँ रहे सफ़र बाबा

जिस का है इंतिज़ार बरसों से
जाने कब होगी वो सहर बाबा

उठ रहा है उसी तरफ़ वो धुआँ
अपनी कुटिया की ले ख़बर बाबा

लुट न जाए मता-ए-दिल अपनी
ये लुटेरों का है नगर बाबा

इस तरह गाँव से गया 'अंजुम'
फिर न आया वो लौट कर बाबा

  - Rafeeq Anjum

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafeeq Anjum

As you were reading Shayari by Rafeeq Anjum

Similar Writers

our suggestion based on Rafeeq Anjum

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari