kabhi jo khaak ki taqreeb-e-roo-numaai hui | कभी जो ख़ाक की तक़रीब-ए-रू-नुमाई हुई - Rafi Raza

kabhi jo khaak ki taqreeb-e-roo-numaai hui
bahut udegi wahan bhi meri udaai hui

khuda ka shukr-e-sukhan mujh pe mehrbaan hua
bahut dinon se thi luknat zabaan mein aayi hui

yahi hai ghazz-e-basar ye hai dekhna mera
rahegi aankh tahayyur mein dabdabaai hui

tumhaara mera taalluq hai jo rahe so rahe
tumhaare hijr ne kyun taang hai adaai hui

pakad liya gaya jaise ki main lagata hoon
bujha raha tha kisi aur ki lagaaee hui

lahu lahu hua sajde mein dil agarche raza
shab-e-shikast bade zor ki ladai hui

कभी जो ख़ाक की तक़रीब-ए-रू-नुमाई हुई
बहुत उड़ेगी वहाँ भी मिरी उड़ाई हुई

ख़ुदा का शुक्र-ए-सुख़न मुझ पे मेहरबान हुआ
बहुत दिनों से थी लुक्नत ज़बाँ में आई हुई

यही है ग़ज़्ज़-ए-बसर ये है देखना मेरा
रहेगी आँख तहय्युर में डबडबाई हुई

तुम्हारा मेरा तअल्लुक़ है जो रहे सो रहे
तुम्हारे हिज्र ने क्यूँ टाँग है अड़ाई हुई

पकड़ लिया गया जैसे कि मैं लगाता हूँ
बुझा रहा था किसी और की लगाई हुई

लहू लहू हुआ सज्दे में दिल अगरचे 'रज़ा'
शब-ए-शिकस्त बड़े ज़ोर की लड़ाई हुई

- Rafi Raza
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafi Raza

As you were reading Shayari by Rafi Raza

Similar Writers

our suggestion based on Rafi Raza

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari