main apni aankh ko us ka jahaan de doon kya | मैं अपनी आँख को उस का जहान दे दूँ क्या

  - Rafi Raza

main apni aankh ko us ka jahaan de doon kya
zameen kheench luun aur aasmaan de doon kya

main duniya zaad nahin hoon mujhe nahin manzoor
makaan le ke tumhein la-makaan de doon kya

ki ek roz khula rah gaya tha aaina
agar gawaah banuun to bayaan de doon kya

ude kuchh aise ki mera nishaan tak na rahe
main apni khaak ko itni udaan de doon kya

ye lag raha hai ki na-khush ho dosti mein tum
tumhaare haath mein teer o kamaan de doon kya

samajh nahin rahe be-rang aansuon ka kaha
unhen main surkh-lahu ki zabaan de doon kya

suna hai zindagi koi tah-e-samundar hai
bhanwar ke haath mein ye baadbaan de doon kya

ye faisla mujhe karna hai thande dil se raza
nahin badalta zamaana to jaan de doon kya

मैं अपनी आँख को उस का जहान दे दूँ क्या
ज़मीन खींच लूँ और आसमान दे दूँ क्या

मैं दुनिया ज़ाद नहीं हूँ मुझे नहीं मंज़ूर
मकान ले के तुम्हें ला-मकान दे दूँ क्या

कि एक रोज़ खुला रह गया था आईना
अगर गवाह बनूँ तो बयान दे दूँ क्या

उड़े कुछ ऐसे कि मेरा निशान तक न रहे
मैं अपनी ख़ाक को इतनी उड़ान दे दूँ क्या

ये लग रहा है कि ना-ख़ुश हो दोस्ती में तुम
तुम्हारे हाथ में तीर ओ कमान दे दूँ क्या

समझ नहीं रहे बे-रंग आँसुओं का कहा
उन्हें मैं सुर्ख़-लहू की ज़बान दे दूँ क्या

सुना है ज़िंदगी कोई तह-ए-समुंदर है
भँवर के हाथ में ये बादबान दे दूँ क्या

ये फ़ैसला मुझे करना है ठंडे दिल से 'रज़ा'
नहीं बदलता ज़माना तो जान दे दूँ क्या

  - Rafi Raza

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafi Raza

As you were reading Shayari by Rafi Raza

Similar Writers

our suggestion based on Rafi Raza

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari