zameen ka bojh aur us par ye aasmaan ka bojh
utaar fenk doon kaandhon se do-jahaan ka bojh
pada hua hoon main sajde mein kah nahin paata
vo baat jis se ki halka ho kuchh zabaan ka bojh
phir is ke baad uthaaunga apne aap ko main
utha raha hoon abhi apne khaandaan ka bojh
dabii thi aankh kabhi jis makaan-e-hairat se
ab us makaan se ziyaada hai la-makaan ka bojh
agar dimaagh sitaara hai toot jaayega
chamak chamak ke uthaata hai aasmaan ka bojh
to jhurriyon ne likha aur kya uthaoge
uthaya jaata nahin tum se jism o jaan ka bojh
palat ke aayi jo ghaflat ke us kurre se nigaah
to silvaton mein pada tha meri thakaan ka bojh
jo umr beet gai us ko bhool jaaun raza
pur-khyaal se jhatkoon gai udaan ka bojh
ज़मीं का बोझ और उस पर ये आसमान का बोझ
उतार फेंक दूँ काँधों से दो-जहान का बोझ
पड़ा हुआ हूँ मैं सज्दे में कह नहीं पाता
वो बात जिस से कि हल्का हो कुछ ज़बान का बोझ
फिर इस के बाद उठाऊँगा अपने आप को मैं
उठा रहा हूँ अभी अपने ख़ानदान का बोझ
दबी थी आँख कभी जिस मकान-ए-हैरत से
अब उस मकाँ से ज़ियादा है ला-मकान का बोझ
अगर दिमाग़ सितारा है टूट जाएगा
चमक चमक के उठाता है आसमान का बोझ
तो झुर्रियों ने लिखा और क्या उठाओगे
उठाया जाता नहीं तुम से जिस्म ओ जान का बोझ
पलट के आई जो ग़फ़लत के उस कुर्रे से निगह
तो सिलवटों में पड़ा था मिरी थकान का बोझ
जो उम्र बीत गई उस को भूल जाऊँ 'रज़ा'
पुर-ख़याल से झटकूँ गई उड़ान का बोझ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafi Raza
our suggestion based on Rafi Raza
As you were reading Falak Shayari Shayari