lams ko chhod ke khushboo pe qana'at nahin karne waala
aisi-vaisi to main ab tum se mohabbat nahin karne waala
mujh se behtar koi duniya mein kitaabat nahin karne waala
par tire hijr ki main jald ishaat nahin karne waala
apne hi jism ko kal us ne meri aankhon se poora dekha
is se badh kar koi manzar kabhi hairat nahin karne waala
mazhab-e-ishq se mansoob ye baatein to khaariz ki hain
shaam-e-hijraan main kisi taur main shirkat nahin karne waala
aisi bhagdad mein koi paav tale aaye to shikwa na kare
gir gaya main to koi mujh se ri'ayat nahin karne waala
lau larzne ka koi aur hi matlab na nikal aaye kahi
poochne par bhi charaagh aur wazaahat nahin karne waala
mujhe chalte hue raaste ke shajar dekhte jaate hain raza
par mere saath ukhad kar koi hijrat nahin karne waala
लम्स को छोड़ के ख़ुशबू पे क़नाअ'त नहीं करने वाला
ऐसी-वैसी तो मैं अब तुम से मोहब्बत नहीं करने वाला
मुझ से बेहतर कोई दुनिया में किताबत नहीं करने वाला
पर तिरे हिज्र की मैं जल्द इशाअत नहीं करने वाला
अपने ही जिस्म को कल उस ने मिरी आँखों से पूरा देखा
इस से बढ़ कर कोई मंज़र कभी हैरत नहीं करने वाला
मज़हब-ए-इश्क़ से मंसूब ये बातें तो ख़ारिज की हैं
शाम-ए-हिज्राँ मैं किसी तौर मैं शिरकत नहीं करने वाला
ऐसी भगदड़ में कोई पावँ तले आए तो शिकवा न करे
गिर गया मैं तो कोई मुझ से रिआ'यत नहीं करने वाला
लौ लरज़ने का कोई और ही मतलब न निकल आए कहीं
पूछने पर भी चराग़ और वज़ाहत नहीं करने वाला
मुझे चलते हुए रस्ते के शजर देखते जाते हैं 'रज़ा'
पर मिरे साथ उखड़ कर कोई हिजरत नहीं करने वाला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafi Raza
our suggestion based on Rafi Raza
As you were reading I love you Shayari Shayari