ped sookha harf ka aur fakhtaayein mar gaeein
lab na khole to ghutan se sab duaaein mar gaeein
ek din apna sahifa mujh pe naazil ho gaya
us ko padhte hi meri saari khataayein mar gaeein
yaad ki gudadi ko main ne ek din pahna nahin
ek din ke hijr mein saari balaaen mar gaeein
main ne mustaqbil mein ja kar ek lambi saans li
phir mere maazi ki sab haasid hawaaein mar gaeein
main ne kya socha tha un ke vaaste aur kya hua
mere chup hone se andar ki sadaaein mar gaeein
is taraf mitti thi mere us taraf ik noor tha
main jiya mere liye do intihaaien mar gaeein
पेड़ सूखा हर्फ़ का और फ़ाख़ताएँ मर गईं
लब न खोले तो घुटन से सब दुआएँ मर गईं
एक दिन अपना सहीफ़ा मुझ पे नाज़िल हो गया
उस को पढ़ते ही मिरी सारी ख़ताएँ मर गईं
याद की गुदड़ी को मैं ने एक दिन पहना नहीं
एक दिन के हिज्र में सारी बलाएँ मर गईं
मैं ने मुस्तक़बिल में जा कर एक लम्बी साँस ली
फिर मिरे माज़ी की सब हासिद हवाएँ मर गईं
मैं ने क्या सोचा था उन के वास्ते और क्या हुआ
मेरे चुप होने से अंदर की सदाएँ मर गईं
इस तरफ़ मिट्टी थी मेरे उस तरफ़ इक नूर था
मैं जिया मेरे लिए दो इंतिहाएँ मर गईं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafi Raza
our suggestion based on Rafi Raza
As you were reading Romance Shayari Shayari