ise saamaan-e-safar jaan ye jugnoo rakh le | इसे सामान-ए-सफ़र जान ये जुगनू रख ले - Rahat Indori

ise saamaan-e-safar jaan ye jugnoo rakh le
raah mein teergi hogi mere aansu rakh le

tu jo chahe to tira jhooth bhi bik saka hai
shart itni hai ki sone ki taraazu rakh le

vo koi jism nahin hai ki use choo bhi saken
haan agar naam hi rakhna hai to khushboo rakh le

tujh ko an-dekhi bulandi mein safar karna hai
ehtiyaatan meri himmat mere baazu rakh le

meri khwaahish hai ki aangan mein na deewaar uthe
mere bhaai mere hisse ki zameen tu rakh le

इसे सामान-ए-सफ़र जान ये जुगनू रख ले
राह में तीरगी होगी मिरे आँसू रख ले

तू जो चाहे तो तिरा झूट भी बिक सकता है
शर्त इतनी है कि सोने की तराज़ू रख ले

वो कोई जिस्म नहीं है कि उसे छू भी सकें
हाँ अगर नाम ही रखना है तो ख़ुश्बू रख ले

तुझ को अन-देखी बुलंदी में सफ़र करना है
एहतियातन मिरी हिम्मत मिरे बाज़ू रख ले

मिरी ख़्वाहिश है कि आँगन में न दीवार उठे
मिरे भाई मिरे हिस्से की ज़मीं तू रख ले

- Rahat Indori
0 Likes

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari