sab ko rusva baari baari kiya karo
har mausam mein fatwe jaari kiya karo
raaton ka neendon se rishta toot chuka
apne ghar ki pahre-daari kiya karo
qatra qatra shabnam gin kar kya hoga
daryaon ki daave-daari kiya karo
roz qaside likkho goonge behron ke
furqat ho to ye begaari kiya karo
shab bhar aane waale din ke khwaab buno
din bhar fikr-e-shab-bedaari kiya karo
chaand ziyaada raushan hai to rahne do
jugnoo-bhayya jee mat bhari kiya karo
jab jee chahe maut bichha do basti mein
lekin baatein pyaari pyaari kiya karo
raat badan-dariya mein roz utarti hai
is kashti mein khoob sawaari kiya karo
roz wahi ik koshish zinda rahne ki
marne ki bhi kuchh tayyaari kiya karo
khwaab lapete sote rahna theek nahin
furqat ho to shab-bedaari kiya karo
kaaghaz ko sab saunp diya ye theek nahin
sher kabhi khud par bhi taari kiya karo
सब को रुस्वा बारी बारी किया करो
हर मौसम में फ़तवे जारी किया करो
रातों का नींदों से रिश्ता टूट चुका
अपने घर की पहरे-दारी किया करो
क़तरा क़तरा शबनम गिन कर क्या होगा
दरियाओं की दावे-दारी किया करो
रोज़ क़सीदे लिक्खो गूँगे बहरों के
फ़ुर्सत हो तो ये बेगारी किया करो
शब भर आने वाले दिन के ख़्वाब बुनो
दिन भर फ़िक्र-ए-शब-बेदारी किया करो
चाँद ज़ियादा रौशन है तो रहने दो
जुगनू-भय्या जी मत भारी किया करो
जब जी चाहे मौत बिछा दो बस्ती में
लेकिन बातें प्यारी प्यारी किया करो
रात बदन-दरिया में रोज़ उतरती है
इस कश्ती में ख़ूब सवारी किया करो
रोज़ वही इक कोशिश ज़िंदा रहने की
मरने की भी कुछ तय्यारी किया करो
ख़्वाब लपेटे सोते रहना ठीक नहीं
फ़ुर्सत हो तो शब-बेदारी किया करो
काग़ज़ को सब सौंप दिया ये ठीक नहीं
शेर कभी ख़ुद पर भी तारी किया करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Sach Shayari Shayari