aankhon se vo kabhi meri ojhal nahin raha
ghaafil main us ki yaad se ik pal nahin raha
kya hai jo us ne door basa li hain bastiyaan
aakhir mera dimaagh bhi awwal nahin raha
laao to sirr-e-dehr ke mafhoom ki khabar
uqda agarche koi bhi mohmal nahin raha
shaayad na pa sakoon main suraagh-e-diyaar-e-shauq
qibla durust karne ka kas-bal nahin raha
dasht-e-fanaa mein dekha musawaat ka urooj
ashraf nahin raha koi asfal nahin raha
hai jis ka takht sajda-gah-e-khaas-o-aam-e-shehr
main us se milne ke liye be-kal nahin raha
jis dam jahaan se dolti doli hi uth gai
tabl o alam to kya koi mandal nahin raha
आँखों से वो कभी मिरी ओझल नहीं रहा
ग़ाफ़िल मैं उस की याद से इक पल नहीं रहा
क्या है जो उस ने दूर बसा ली हैं बस्तियाँ
आख़िर मिरा दिमाग़ भी अव्वल नहीं रहा
लाओ तो सिर्र-ए-दहर के मफ़्हूम की ख़बर
उक़्दा अगरचे कोई भी मोहमल नहीं रहा
शायद न पा सकूँ मैं सुराग़-ए-दयार-ए-शौक़
क़िबला दुरुस्त करने का कस-बल नहीं रहा
दश्त-ए-फ़ना में देखा मुसावात का उरूज
अशरफ़ नहीं रहा कोई असफ़ल नहीं रहा
है जिस का तख़्त सज्दा-गह-ए-ख़ास-ओ-आम-ए-शहर
मैं उस से मिलने के लिए बे-कल नहीं रहा
जिस दम जहाँ से डोलती डोली ही उठ गई
तब्ल ओ अलम तो क्या कोई मंडल नहीं रहा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Saadat Saeed
As you were reading Promise Shayari Shayari