ishq mein haara hua hoon kaamraani kuchh nahin | इश्क़ में हारा हुआ हूँ कामरानी कुछ नहीं

  - Saarik Khan Saarik

ishq mein haara hua hoon kaamraani kuchh nahin
mere hissa mein sanam ki meherbaani kuchh nahin

chhod kar titli gai hai jab se dil ke baagh ko
dil mein bas veeraaniyaan hain rut suhaani kuchh nahin

kashti se bichhda jo dariya ab talak sadme mein hai
jam gai hai barf is mein aur rawaani kuchh nahin

aaine ko hairaten hai haal mera dekh kar
daagh chehre pe hai mere naujawaani kuchh nahin

khat jalaae main ne saare jo diye the yaar ne
paas mere us ki sahab ab nishaani kuchh nahin

khalvaton ke saaye mein hoon yaar ik muddat se main
chaar soo hai bas udaasi shaadmaani kuchh nahin

daakiya hi the kabootar pehle mobile na tha
baatein saari khat se ki theen munh-zabaani kuchh nahin

bin tire kaise kahoon ab kis tarah batlaaoon main
saans chalti hai faqat ye zindagaani kuchh nahin

muddatein guzri hain saariq yaar ko dekhe hue
kya karein lab se bayaan ab khush-bayaani kuchh nahin

इश्क़ में हारा हुआ हूँ कामरानी कुछ नहीं
मेरे हिस्सा में सनम की मेहरबानी कुछ नहीं

छोड़ कर तितली गई है जब से दिल के बाग़ को
दिल में बस वीरानियाँ हैं रुत सुहानी कुछ नहीं

कश्ती से बिछड़ा जो दरिया अब तलक सदमे में है
जम गई है बर्फ़ इस में और रवानी कुछ नहीं

आईने को हैरतें है हाल मेरा देख कर
दाग़ चेहरे पे है मेरे नौजवानी कुछ नहीं

ख़त जलाए मैं ने सारे जो दिए थे यार ने
पास मेरे उस की साहब अब निशानी कुछ नहीं

ख़ल्वतों के साए में हूँ यार इक मुद्दत से मैं
चार सू है बस उदासी शादमानी कुछ नहीं

डाकिया ही थे कबूतर पहले मोबाइल न था
बातें सारी ख़त से की थीं मुँह-ज़बानी कुछ नहीं

बिन तिरे कैसे कहूँ अब किस तरह बतलाऊँ मैं
साँस चलती है फ़क़त ये ज़िंदगानी कुछ नहीं

मुद्दतें गुज़री हैं 'सारिक़' यार को देखे हुए
क्या करें लब से बयाँ अब ख़ुश-बयानी कुछ नहीं

  - Saarik Khan Saarik

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saarik Khan Saarik

As you were reading Shayari by Saarik Khan Saarik

Similar Writers

our suggestion based on Saarik Khan Saarik

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari