zikr kuchh yaar ka kiya jaaye
zindagi aa zara jiya jaaye
chaand choone ke hi barabar hai
makhmali haath choo liya jaaye
ho chuki ho agar saza poori
darde dil ko rihaa kiya jaaye
hasratein eed ki adhuri hain
khaamoshi se jata diya jaaye
dard-o-gham ki bahut zaroorat hai
chal kahi dil laga liya jaaye
ज़िक्र कुछ यार का किया जाये
ज़िन्दगी आ ज़रा जिया जाये
चाँद छूने के ही बराबर है
मखमली हाथ छू लिया जाये
हो चुकी हो अगर सज़ा पूरी
दर्दे -दिल को रिहा किया जाये
हसरतें ईद की अधूरी हैं
ख़ामुशी से जता दिया जाये
दर्द-ओ-ग़म की बहुत ज़रूरत है
चल कहीं दिल लगा लिया जाये
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Eid Shayari Shayari