har ik saans se seene mein ghaav lagta hai
fazaa mein aaj bhi kal sa tanaav lagta hai
ye theek hai ye samundar hai pur-sukoon sa magar
nahin udhar ka jidhar ka bahaav lagta hai
mawaafaqat hi bina ahliyat ki ho jis mein
mujhe to dhong vo saara chunaav lagta hai
main jis sehar ke taqaze se jaag utha us ka
kuchh ab bhi shab ke safar mein padaav lagta hai
ye baarishon ki nahin rut agar to kyun aasim
hawa mein aisa nami ka dabaav lagta hai
हर इक साँस से सीने में घाव लगता है
फ़ज़ा में आज भी कल सा तनाव लगता है
ये ठीक है ये समुंदर है पुर-सुकूँ सा मगर
नहीं उधर का जिधर का बहाव लगता है
मुवाफ़क़त ही बिना अहलियत की हो जिस में
मुझे तो ढोंग वो सारा चुनाव लगता है
मैं जिस सहर के तक़ाज़े से जाग उठा उस का
कुछ अब भी शब के सफ़र में पड़ाव लगता है
ये बारिशों की नहीं रुत अगर तो क्यों 'आसिम'
हवा में ऐसा नमी का दबाव लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabahat Asim
our suggestion based on Sabahat Asim
As you were reading Ghayal Shayari Shayari