ai vahshat-e-jaan dard ke shehkaar bahut hain
zinda hain magar log ye beemaar bahut hain
nafrat mein nahin aib mohabbat pe hai bandish
is shehar mein is tarz ke mea'ar bahut hain
ye mashq-e-tabassum hai faqat rasm-e-zamaana
shikwe to pas-e-parda-e-izhaar bahut hain
ik mujh ko tira dard bhi manzoor hai jaanaan
khushiyon ke tiri warna talabgaar bahut hain
veeraane mein ho saka hai mahfooz rahein ham
insaan ki nagri mein to khoon-khwaar bahut hain
jismoon ki tijaarat to hamesha se hui hai
roohon ke bhi is daur mein bazaar bahut hain
maasoom-e-gunah sirf gunaahgaar wahin hain
jis shehar mein insaaf ke darbaar bahut hain
thehre hue aansu kai jaagi hui raatein
aasim pe tire dard ke aasaar bahut hain
ऐ वहशत-ए-जाँ दर्द के शहकार बहुत हैं
ज़िंदा हैं मगर लोग ये बीमार बहुत हैं
नफ़रत में नहीं ऐब मोहब्बत पे है बंदिश
इस शहर में इस तर्ज़ के मेआ'र बहुत हैं
ये मश्क़-ए-तबस्सुम है फ़क़त रस्म-ए-ज़माना
शिकवे तो पस-ए-पर्दा-ए-इज़हार बहुत हैं
इक मुझ को तिरा दर्द भी मंज़ूर है जानाँ
ख़ुशियों के तिरी वर्ना तलबगार बहुत हैं
वीराने में हो सकता है महफ़ूज़ रहें हम
इंसान की नगरी में तो खूँ-ख़्वार बहुत हैं
जिस्मों की तिजारत तो हमेशा से हुई है
रूहों के भी इस दौर में बाज़ार बहुत हैं
मासूम-ए-गुनह सिर्फ़ गुनाहगार वहीं हैं
जिस शहर में इंसाफ़ के दरबार बहुत हैं
ठहरे हुए आँसू कई जागी हुई रातें
'आसिम' पे तिरे दर्द के आसार बहुत हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabahat Asim
our suggestion based on Sabahat Asim
As you were reading Justice Shayari Shayari