hai to maanoos pe gum-gashta nishaani ki tarah
vo mujhe yaad hai bachpan ki kahaani ki tarah
aap saahil se mujhe dekhte rah jaayenge
main guzar jaaunga bahte hue paani ki tarah
aaj ke daur mein raftaar ajab waqt ki hai
ab to bachpan bhi guzarta hai jawaani ki tarah
sabr mera bhi kisi band ki maanind raha
aur mizaaj us ka bhi dariya ki rawaani ki tarah
shah ke naukar ko ijaazat hai sitam ki aasim
aadaten ho gaeein baandi ki bhi raani ki tarah
है तो मानूस पे गुम-गश्ता निशानी की तरह
वो मुझे याद है बचपन की कहानी की तरह
आप साहिल से मुझे देखते रह जाएँगे
मैं गुज़र जाऊँगा बहते हुए पानी की तरह
आज के दौर में रफ़्तार अजब वक़्त की है
अब तो बचपन भी गुज़रता है जवानी की तरह
सब्र मेरा भी किसी बंद की मानिंद रहा
और मिज़ाज उस का भी दरिया की रवानी की तरह
शह के नौकर को इजाज़त है सितम की 'आसिम'
आदतें हो गईं बांदी की भी रानी की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabahat Asim
our suggestion based on Sabahat Asim
As you were reading Jawani Shayari Shayari