jab bhi qasmen hamaari khaate hain
sach yaqeenan koii chhupaate hain
chhod jaayenge ham tujhe tanhaa
roz kahkar yahi daraate hain
jab tu aankhon se door hota hai
kaise-kaise khayal aate hain
haal unka kisi ne poocha kya
chot khaakar jo muskuraate hain
mujhse naaraz hain raza phir bhi
meri ghazalon ko gungunaate hain
जब भी क़समें हमारी खाते हैं
सच यक़ीनन कोई छुपाते हैं
छोड़ जाएँगे हम तुझे तन्हा
रोज़ कहकर यही डराते हैं
जब तू आँखों से दूर होता है
कैसे-कैसे ख़याल आते हैं
हाल उनका किसी ने पूछा क्या
चोट खाकर जो मुस्कुराते हैं
मुझसे नाराज़ हैं 'रज़ा' फिर भी
मेरी ग़ज़लों को गुनगुनाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Ghayal Shayari Shayari