saath tum nahin hote kuchh maza nahin hota
mere ghar mein khushiyon ka silsila nahin hota
raah par sadaqat kii gar chala nahin hota
sach hamesha kehne ka hausla nahin hota
raunqen nahin jaatein mere ghar ke aangan se
dil agar nahin bantta ghar banta nahin hota
thode gham khushi thodi thodi siskiyaan bhi hain
zindagi se ab hamko kuchh gila nahin hota
koshishon se deta hai raasta samandar bhi
hausla rahe qaaim phir to kya nahin hota
doobti nahin kashti paas aake saahil ke
be-wafa agar mera na-khuda nahin hota
uski shokh nazron ne zindagi badal daali
vo agar nahin hota kuchh raza nahin hota
साथ तुम नहीं होते कुछ मज़ा नहीं होता
मेरे घर में ख़ुशियों का सिलसिला नहीं होता
राह पर सदाक़त की गर चला नहीं होता
सच हमेशा कहने का हौसला नहीं होता
रौनक़ें नहीं जातीं मेरे घर के आँगन से
दिल अगर नहीं बँटता घर बँटा नहीं होता
थोड़े ग़म ख़ुशी थोड़ी थोड़ी सिसकियाँ भी हैं
ज़िन्दगी से अब हमको कुछ गिला नहीं होता
कोशिशों से देता है रास्ता समंदर भी
हौसला रहे क़ाएम फिर तो क्या नहीं होता
डूबती नहीं कश्ती पास आके साहिल के
बे-वफ़ा अगर मेरा ना-ख़ुदा नहीं होता
उसकी शोख़ नज़रों ने ज़िन्दगी बदल डाली
वो अगर नहीं होता कुछ 'रज़ा' नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA
our suggestion based on SALIM RAZA REWA
As you were reading Ghar Shayari Shayari