ishq mein kuchh is sabab se bhi hai aasaani mujhe
qalb sehraai mila hai aankh baraani mujhe
mere aur mere chacha ke daur mein ye farq hai
un ko to biwi mili thi aur ustaani mujhe
ek hi misre mein das das baar dil biryaan hua
vo ghazal mein baandh kar dete hain biryaani mujhe
coca-cola kar gai mujh ko qalander ki ye baat
rail ke dabbe mein kyun milta nahin paani mujhe
zakham vo dil par lagaate hain mere aur us pe roz
apne ghar se bhej dete hain namak-daani mujhe
saare shikwe door ho jaayen jo qudrat saunp de
meri danaai tujhe aur teri nadaani mujhe
phoonk deta hoon main us par apna koi sher-e-khush
jab daraata hai koi andoh-e-pinhaani mujhe
इश्क़ में कुछ इस सबब से भी है आसानी मुझे
क़ल्ब सहराई मिला है आँख बारानी मुझे
मेरे और मेरे चचा के दौर में ये फ़र्क़ है
उन को तो बीवी मिली थी और उस्तानी मुझे
एक ही मिसरे में दस दस बार दिल बिरयाँ हुआ
वो ग़ज़ल में बाँध कर देते हैं बिरयानी मुझे
कोका-कोला कर गई मुझ को क़लंदर की ये बात
रेल के डब्बे में क्यूँ मिलता नहीं पानी मुझे
ज़ख़्म वो दिल पर लगाते हैं मिरे और उस पे रोज़
अपने घर से भेज देते हैं नमक-दानी मुझे
सारे शिकवे दूर हो जाएँ जो क़ुदरत सौंप दे
मेरी दानाई तुझे और तेरी नादानी मुझे
फूँक देता हूँ मैं उस पर अपना कोई शेर-ए-ख़ुश
जब डराता है कोई अंदोह-ए-पिन्हानी मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarfaraz Shahid
our suggestion based on Sarfaraz Shahid
As you were reading Aankhein Shayari Shayari