munaafa mushtarik hai aur khasaare ek jaise hain | मुनाफ़ा मुश्तरक है और ख़सारे एक जैसे हैं - Sarfaraz Shahid

munaafa mushtarik hai aur khasaare ek jaise hain
ki hum dono ki qismat ke sitaare ek jaise hain

main ik chhota sa afsar hoon vo ik mota sa mill-owner
magar dono ke income goshwaare ek jaise hain

ise zof-e-baseerat use zof-e-basaarat hai
hamaare deeda-war saare ke saare ek jaise hain

matan aur daal ki qeemat barabar ho gai jab se
yaqeen aaya ki dono mein haraare ek jaise hain

jahaan bhar ke siyaasi danglon mein hum ne dekha hai
anooki ik se ik ooncha hai jhaare ek jaise hain

vo thaana ho shifa-khaana ho ya phir daak-khaana ho
rifah-e-aam ke saare idaare ek jaise hain

suroor-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko
ki jaise bhi hon bacche maa ko pyaare ek jaise hain

bala ka farq hai london ki gori aur kaali mein
magar dono ki aankhon mein ishaare ek jaise hain

har ik begum agarche munfarid hai apni saj-dhaj mein
magar jitne bhi shauhar hain bichaare ek jaise hain

koi khush-zauq hi shaahid ye nukta jaan saka hai
ki mere sher aur nakhre tumhaare ek jaise hain

gumaan hota hai shaahid radio par sun ke mauseeqi
ki pakke raag aur namkeen gharaare ek jaise hain

मुनाफ़ा मुश्तरक है और ख़सारे एक जैसे हैं
कि हम दोनों की क़िस्मत के सितारे एक जैसे हैं

मैं इक छोटा सा अफ़सर हूँ वो इक मोटा सा ''मिल-ओनर''
मगर दोनों के इन्कम गोश्वारे एक जैसे हैं

इसे ज़ोफ़-ए-बसीरत उसे ज़ोफ़-ए-बसारत है
हमारे दीदा-वर सारे के सारे एक जैसे हैं

मटन और दाल की क़ीमत बराबर हो गई जब से
यक़ीं आया कि दोनों में ''हरारे'' एक जैसे हैं

जहाँ भर के सियासी दंगलों में हम ने देखा है
''अनूकी'' इक से इक ऊँचा है ''झारे'' एक जैसे हैं

वो थाना हो शिफा-ख़ाना हो या फिर डाक-ख़ाना हो
रिफ़ाह-ए-आम के सारे इदारे एक जैसे हैं

सुरूर-ए-जाँ-फ़ज़ा देती है आग़ोश-ए-वतन सब को
कि जैसे भी हों बच्चे माँ को प्यारे एक जैसे हैं

बला का फ़र्क़ है लंदन की गोरी और काली में
मगर दोनों की आँखों में इशारे एक जैसे हैं

हर इक बेगम अगरचे मुनफ़रिद है अपनी सज-धज में
मगर जितने भी शौहर हैं बिचारे एक जैसे हैं

कोई ख़ुश-ज़ौक़ ही 'शाहिद' ये नुक्ता जान सकता है
कि मेरे शेर और नख़रे तुम्हारे एक जैसे हैं

गुमाँ होता है 'शाहिद' रेडियो पर सुन के मौसीक़ी
कि पक्के राग और नमकीं ग़रारे एक जैसे हैं

- Sarfaraz Shahid
2 Likes

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sarfaraz Shahid

As you were reading Shayari by Sarfaraz Shahid

Similar Writers

our suggestion based on Sarfaraz Shahid

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari