aise lage hai naukri maal-e-haraam ke baghair
jaise ho daagh ki ghazal baada-o-jaam ke baghair
ho na samaaj beech mein ishq ho yun speed mein
laari chale break-bin ghoda lagaam ke baghair
pyaar ki saari guftugoo ab vo kare hai phone par
aur phire hai nama-bar naam o payaam ke baghair
biwi ki ek chup se hai ghar ki fazaa bujhi bujhi
jaise koi mushaaira mere kalaam ke baghair
shaahid hamaara sher hai odhe hui shaguftagi
warna hai tegh-e-be-amaan vo bhi niyaam ke baghair
ऐसे लगे है नौकरी माल-ए-हराम के बग़ैर
जैसे हो 'दाग़' की ग़ज़ल बादा-ओ-जाम के बग़ैर
हो न समाज बीच में इश्क़ हो यूँ स्पीड में
लारी चले ब्रेक-बिन घोड़ा लगाम के बग़ैर
प्यार की सारी गुफ़्तुगू अब वो करे है फ़ोन पर
और फिरे है नामा-बर नाम ओ पयाम के बग़ैर
बीवी की एक चुप से है घर की फ़ज़ा बुझी बुझी
जैसे कोई मुशाएरा मेरे कलाम के बग़ैर
'शाहिद' हमारा शेर है ओढ़े हुई शगुफ़्तगी
वर्ना है तेग़-ए-बे-अमाँ वो भी नियाम के बग़ैर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarfaraz Shahid
our suggestion based on Sarfaraz Shahid
As you were reading I love you Shayari Shayari