doj-mahal
doj ke naam se jaanaan tujhe ulfat hi sahi
doj hotel se tujhe khaas aqeedat hi sahi
us ki chaai se chicken soop se raghbat hi sahi
doj karna bhi azal se tiri aadat hi sahi
tu meri jaan kahi aur mila kar mujh se
qais-o-laila bhi to karte the mohabbat lekin
ishq-baazi ke liye dasht ko apnaate the
ham hi ahmaq hain jo hotel mein chale aate hain
vo samajhdaar the jungle ko nikal jaate the
tu meri jaan kahi aur mila kar mujh se
kaash is marmariin hotel ke bade matbakh mein
tu ne pakte hue khaanon ko to dekha hota
vo jo murdaar ke qeeme se bhare jaate hain
kaash un roghani naanon ko to dekha hota
tu meri jaan kahi aur mila kar mujh se
jaanaan rozaana tire lanch ka bill kaise doon
main koi seth nahin koi smuggler bhi nahin
mujh ko hoti nahin oopar ki kamaai hargiz
main kisi daftar-e-makhsus ka afsar bhi nahin
tu meri jaan kahi aur mila kar mujh se
ghaag baere ne dikha kar bada mehnga menu
ham ghareebon ki mohabbat ka udaaya hai mazaak
ishq hai mujh se to coffee hi ko kaafi samjho
main manga saka nahin murgh-musallam ka tabaq
tu meri jaan kahi aur mila kar mujh se
"डॉज-महल"
डॉज के नाम से जानाँ तुझे उल्फ़त ही सही
डॉज होटल से तुझे ख़ास अक़ीदत ही सही
उस की चाय से चिकन सूप से रग़बत ही सही
डॉज करना भी अज़ल से तिरी आदत ही सही
तू मिरी जान कहीं और मिला कर मुझ से
क़ैस-ओ-लैला भी तो करते थे मोहब्बत लेकिन
इश्क़-बाज़ी के लिए दश्त को अपनाते थे
हम ही अहमक़ हैं जो होटल में चले आते हैं
वो समझदार थे जंगल को निकल जाते थे
तू मिरी जान कहीं और मिला कर मुझ से
काश इस मरमरीं होटल के बड़े मतबख़ में
तू ने पकते हुए खानों को तो देखा होता
वो जो मुर्दार के क़ीमे से भरे जाते हैं
काश उन रोग़नी नानों को तो देखा होता
तू मिरी जान कहीं और मिला कर मुझ से
जानाँ! रोज़ाना तिरे लंच का बिल कैसे दूँ
मैं कोई सेठ नहीं कोई स्मगलर भी नहीं
मुझ को होती नहीं ऊपर की कमाई हरगिज़
मैं किसी दफ़्तर-ए-मख़्सूस का अफ़सर भी नहीं
तू मिरी जान कहीं और मिला कर मुझ से
घाग बैरे ने दिखा कर बड़ा महँगा मेन्यू
हम ग़रीबों की मोहब्बत का उड़ाया है मज़ाक़
इश्क़ है मुझ से तो ''कॉफ़ी'' ही को काफ़ी समझो
मैं मँगा सकता नहीं मुर्ग़-मुसल्लम का तबाक़
तू मिरी जान कहीं और मिला कर मुझ से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sarfaraz Shahid
our suggestion based on Sarfaraz Shahid
As you were reading Ishq Shayari Shayari