kabhi-kabhi bhali aadat bhi maar deti hai
hamaare jaiso ko chaahat bhi maar deti hai
kisi kisi pe jafaa ka asar nahin hota
kisi-kisi ko laanat bhi maar deti hai
jung-e-karbala se maine ye bhi sabak seekha hai
bahut ziyaada hi ibadat bhi maar deti hai
gareeb baap beemaari se hi nahin marta
use khilauno ki qeemat bhi maar deti hai
pehle maseeha ko munaafiqon se khatra tha
ab maseeha ko ummat bhi maar deti hai
कभी-कभी भली आदत भी मार देती है
हमारे जैसो को चाहत भी मार देती है
किसी -किसी पे जफ़ा का असर नहीं होता
किसी-किसी को लानत भी मार देती है
जंग-ए-कर्बल से मैने ये भी सबक सीखा है
बहुत ज़्यादा ही इबादत भी मार देती है
ग़रीब बाप बीमारी से ही नहीं मरता
उसे खिलौनो की क़ीमत भी मार देती है
पहले मसीहा को मुनाफ़िकों से ख़तरा था
अब मसीहा को उम्मत भी मार देती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shaad Imran
our suggestion based on Shaad Imran
As you were reading Bimar Shayari Shayari