us se bichhad kar maut ka rasta dekhenge | उस से बिछड़ कर मौत का रस्ता देखेंगे - Shaad Imran

us se bichhad kar maut ka rasta dekhenge
aag lagaakar khud ko jalta dekhenge

rote hue vo aur bhi achhe lagte hai
sunte hi vo daud ke sheesha dekhenge

uske ishq mein baal badhaane waalon sun lo
uske ghar waale to paisa dekhenge

khwaahish hai ki uski god mein dam nikle
lekin usko kaise rota dekhenge

padhte waqt shaad teri ghazalon mein log
apne apne yaar ka chehra dekhenge

उस से बिछड़ कर मौत का रस्ता देखेंगे
आग लगाकर ख़ुद को जलता देखेंगे

रोते हुए वो और भी अच्छे लगते है
सुनते ही वो दौड़ के शीशा देखेंगे

उसके इश्क़ में बाल बढ़ाने वालों सुन लो
उसके घर वाले तो पैसा देखेंगे

ख्वाहिश है कि उसकी गोद में दम निकले
लेकिन उसको कैसे रोता देखेंगे

पढ़ते वक़्त, 'शाद' तेरी ग़ज़लों में लोग
अपने अपने यार का चेहरा देखेंगे

- Shaad Imran
24 Likes

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shaad Imran

As you were reading Shayari by Shaad Imran

Similar Writers

our suggestion based on Shaad Imran

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari