hamaari zindagi mein kya naya hai | हमारी ज़िंदगी में क्या नया है

  - Shaad Imran

hamaari zindagi mein kya naya hai
wahi hota hai jo vo ho raha hai

main akshar baithe-baithe sochta hoon
sazaa-e-maut kya sach-much saza hai

zara duniya ka apni haal dekho
zara socho koi sach-much khuda hai

bada to paida hone ka hi dukh hai
dharm to chhota mota mas'ala hai

kisi ke vaaste patthar tire hain
kisi ke saath mein moosa chala hai

sukoon darkaar hai jis shakhs ko bhi
yaqeen maano suicide raasta hai

main maktab mein fans gaya hoon
mujhe marne ka mauqa kab mila hai

tumhaari aankh mein kaajal nahin hai
tumhaari aankh mein khanjar laga hai

na apni shayari hai jaun jaisi
na apna ishq koi faariha hai

main jiske vaaste ghazlein likhoon hoon
vo mera naam tak nai jaanta hai

हमारी ज़िंदगी में क्या नया है
वही होता है जो, वो हो रहा है

मैं अक्सर बैठे-बैठे सोचता हूॅं
सज़ा-ए-मौत क्या सच-मुच सज़ा है?

ज़रा दुनिया का अपनी हाल देखो
ज़रा सोचो कोई सच-मुच ख़ुदा है?

बड़ा तो पैदा होने का ही दुख है
धरम तो छोटा मोटा मसअला है

किसी के वास्ते पत्थर तिरे हैं
किसी के साथ में मूसा चला है

सुकूँ दरकार है जिस शख़्स को भी
यक़ीं मानो सुसाइड रास्ता है

मैं ज़िम्मेदारियों में फँस गया हूॅं
मुझे मरने का मौक़ा कब मिला है?

तुम्हारी आँख में काजल नहीं है
तुम्हारी आँख में ख़ंजर लगा है

न अपनी शायरी है 'जौन' जैसी
न अपना इश्क़ कोई 'फारिहा' है

मैं जिसके वास्ते ग़ज़लें लिखूँ हूॅं
वो मेरा नाम तक नईं जानता है

  - Shaad Imran

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shaad Imran

As you were reading Shayari by Shaad Imran

Similar Writers

our suggestion based on Shaad Imran

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari