andhere aur kaale ho gaye hain
mere dushman ujaale ho gaye hain
chaman ko chhodkar jab se gaye ho
hare patte bhi kaale ho gaye hain
teri chaahat mein padhkar sab biraagi
mohabbat karne waale ho gaye hain
bahut laagat ghazal mein lag rahi hai
ke ab roti ke laale ho gaye hain
zara sa jo hua bekhud to mere
mukhalif hosh waale ho gaye hain
karam ki jisse ki hamne guzaarish
vo baadal aur kaale ho gaye hain
teri hi hijr ki veeraaniyon se
mere kamre mein jaale ho gaye hain
अँधेरे और काले हो गए हैं
मेरे दुश्मन उजाले हो गए हैं
चमन को छोड़कर जब से गए हो
हरे पत्ते भी काले हो गए हैं
तेरी चाहत में पढ़कर सब बिरागी
मोहब्बत करने वाले हो गए हैं
बहुत लागत ग़ज़ल में लग रही है
के अब रोटी के लाले हो गए हैं
ज़रा सा जो हुआ बेख़ुद तो मेरे
मुख़ालिफ़ होश वाले हो गए हैं
करम की जिससे की हमने गुज़ारिश
वो बादल और काले हो गए हैं
तेरी ही हिज्र की वीरानियों से
मेरे कमरे में जाले हो गए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadan Ahsan Marehrvi
our suggestion based on Shadan Ahsan Marehrvi
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari