gar safar tere saath ho jaaye
kitni lazzat ki baat ho jaaye
gasht ka lutf bhi alag ho jab
tere haathon mein haath ho jaaye
tere har gham ko jazzab kar luun gar
teri ungli pe haath ho jaaye
baat kuchh bhi nahin bas itni hai
unse thodi si baat ho jaaye
tera chehra jo itna dilkash hai
itni dilkash ye raat ho jaaye
is tarah tumko apne paas rakhoon
ek tasveer saath ho jaaye
uska kehna shagaf ho tum mere bas
kahte kahte hi raat ho jaaye
गर सफ़र तेरे साथ हो जाए
कितनी लज़्ज़त की बात हो जाए
गश्त का लुत्फ़ भी अलग हो जब
तेरे हाथों में हाथ हो जाए
तेरे हर ग़म को जज़्ब कर लूँ, गर
तेरी उँगली पे हाथ हो जाए
बात कुछ भी नहीं बस इतनी है
उनसे थोड़ी सी बात हो जाए
तेरा चेहरा जो इतना दिलकश है
इतनी दिलकश ये रात हो जाए
इस तरह तुमको अपने पास रखूँ
एक तस्वीर साथ हो जाए
"उसका कहना, शगफ़ हो तुम मेरे बस"
कहते कहते ही रात हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Adnan Ali SHAGAF
our suggestion based on Adnan Ali SHAGAF
As you were reading Baaten Shayari Shayari