tere vaade ko kabhi jhooth nahin samjhoonga
aaj ki raat bhi darwaaza khula rakkhoonga
dekhne ke liye ik chehra bahut hota hai
aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoonga
meri tanhaai ki ruswaai ki manzil aayi
vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloonga
shaam hote hi khuli sadkon ki yaad aati hai
sochta roz hoon main ghar se nahin nikloonga
ta-ki mahfooz rahe mere qalam ki hurmat
sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhoonga
तेरे वादे को कभी झूट नहीं समझूँगा
आज की रात भी दरवाज़ा खुला रक्खूँगा
देखने के लिए इक चेहरा बहुत होता है
आँख जब तक है तुझे सिर्फ़ तुझे देखूँगा
मेरी तन्हाई की रुस्वाई की मंज़िल आई
वस्ल के लम्हे से मैं हिज्र की शब बदलूँगा
शाम होते ही खुली सड़कों की याद आती है
सोचता रोज़ हूँ मैं घर से नहीं निकलूँगा
ता-कि महफ़ूज़ रहे मेरे क़लम की हुरमत
सच मुझे लिखना है मैं हुस्न को सच लिक्खूंगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahryar
our suggestion based on Shahryar
As you were reading Aaina Shayari Shayari