agar hamaare hi dil mein thikaana chahiye tha
to phir tujhe zara pehle bataana chahiye tha
chalo humi sahi saari buraaiyon ka sabab
magar tujhe bhi zara sa nibhaana chahiye tha
agar naseeb mein taariqiyaan hi likkhi theen
to phir charaagh hawa mein jalana chahiye tha
mohabbaton ko chhupaate ho buzdilon ki tarah
ye ishtehaar gali mein lagana chahiye tha
jahaan usool khata mein shumaar hote hon
wahan vaqaar nahin sar bachaana chahiye tha
laga ke baith gaye dil ko rog chaahat ka
ye umr vo thi ki khaana kamaana chahiye tha
अगर हमारे ही दिल में ठिकाना चाहिए था
तो फिर तुझे ज़रा पहले बताना चाहिए था
चलो हमी सही सारी बुराइयों का सबब
मगर तुझे भी ज़रा सा निभाना चाहिए था
अगर नसीब में तारीकियाँ ही लिक्खी थीं
तो फिर चराग़ हवा में जलाना चाहिए था
मोहब्बतों को छुपाते हो बुज़दिलों की तरह
ये इश्तिहार गली में लगाना चाहिए था
जहाँ उसूल ख़ता में शुमार होते हों
वहाँ वक़ार नहीं सर बचाना चाहिए था
लगा के बैठ गए दिल को रोग चाहत का
ये उम्र वो थी कि खाना कमाना चाहिए था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Jamali
our suggestion based on Shakeel Jamali
As you were reading Hawa Shayari Shayari