beej wafa ke bote hain
phir bhi tanhaa rote hain
dil mein rahne waale log
deemak jaise hote hain
kuchh paane ki hasrat mein
kya kuchh ham sab khote hain
fasl-e-gul ki khwaahish mein
banjar khet bhi jote. hain
chor na ghar mein aa jaaye
jagte jagte sote hain
ham mushkil se ladte hain
rone waale rote hain
khwaab ke maare bechaare
mere jaise hote hain
बीज वफ़ा के बोते हैं
फिर भी तन्हा रोते हैं
दिल में रहने वाले लोग
दीमक जैसे होते हैं
कुछ पाने की हसरत में
क्या कुछ हम सब खोते हैं
फ़स्ल-ए-गुल की ख़्वाहिश में
बंजर खेत भी जोते हैं
चोर न घर में आ जाए
जगते जगते सोते हैं
हम मुश्किल से लड़ते हैं
रोने वाले रोते हैं
ख़्वाब के मारे बेचारे
मेरे जैसे होते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Ghar Shayari Shayari