vo bade bante hain apne naam se
ham bade bante hai apne kaam se
vo kabhi aaghaaz kar sakte nahin
khauf lagta hai jinhen anjaam se
ik nazar mehfil mein dekha tha jise
ham to khoye hai usi mein shaam se
dosti chaahat wafa is daur mein
kaam rakh ai dost apne kaam se
jin se koi vaasta tak hai nahin
kyun vo jalte hai hamaare naam se
us ke dil ki aag thandi pad gai
mujh ko shohrat mil gai ilzaam se
mehfilon mein zikr mat karna mera
aag lag jaati hai mere naam se
वो बड़े बनते हैं अपने नाम से
हम बड़े बनते है अपने काम से
वो कभी आग़ाज़ कर सकते नहीं
ख़ौफ़ लगता है जिन्हें अंजाम से
इक नज़र महफ़िल में देखा था जिसे
हम तो खोए है उसी में शाम से
दोस्ती चाहत वफ़ा इस दौर में
काम रख ऐ दोस्त अपने काम से
जिन से कोई वास्ता तक है नहीं
क्यूँ वो जलते है हमारे नाम से
उस के दिल की आग ठंडी पड़ गई
मुझ को शोहरत मिल गई इल्ज़ाम से
महफ़िलों में ज़िक्र मत करना मिरा
आग लग जाती है मेरे नाम से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Siraj Faisal Khan
our suggestion based on Siraj Faisal Khan
As you were reading Mehman Shayari Shayari