charaagon ko ab tak bujhaaya nahin hai | चराग़ों को अब तक बुझाया नहीं है

  - Sohil Barelvi

charaagon ko ab tak bujhaaya nahin hai
tujhe jaane waale bhulaaya nahin hai

abhi mujh mein hansne ki ummeed hai kuchh
abhi dard dil mein samaaya nahin hai

use soch kar main abhi se hoon hairaan
jo vaada abhi tak nibhaaya nahin hai

khudaara salaamat hon mere azeezm
koi khwaab kyun aaj aaya nahin hai

khule haath ham ne lutaaya hai sab kuchh
mohabbat mein kuchh bhi ganwaaya nahin hai

tera dil bhi dil hai yahi jaan kar bas
tujhe dard apna sunaaya nahin hai

humeen laaye khud ko kinaare pe sohil
kisi naa-khuda ne bachaaya nahin hai

चराग़ों को अब तक बुझाया नहीं है
तुझे जाने वाले भुलाया नहीं है

अभी मुझ में हँसने की उम्मीद है कुछ
अभी दर्द दिल में समाया नहीं है

उसे सोच कर मैं अभी से हूँ हैराँ
जो वादा अभी तक निभाया नहीं है

ख़ुदारा सलामत हों मेरे अज़ीज़म
कोई ख़्वाब क्यूँ आज आया नहीं है

खुले हाथ हम ने लुटाया है सब कुछ
मोहब्बत में कुछ भी गँवाया नहीं है

तेरा दिल भी दिल है यही जान कर बस
तुझे दर्द अपना सुनाया नहीं है

हमीं लाए ख़ुद को किनारे पे सोहिल
किसी ना-ख़ुदा ने बचाया नहीं है

  - Sohil Barelvi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari