ik kahaani ho gaye dukh | इक कहानी हो गए दुख

  - Sohil Barelvi

ik kahaani ho gaye dukh
jaavedaani ho gaye dukh

kuchh ko jeeta kuchh jigar mein
ab nishaani ho gaye dukh

raat taare ginte ginte
aasmaani ho gaye dukh

khud ko chhota kar liya jab
mere saani ho gaye dukh

halka halka lag raha dil
jab se paani ho gaye dukh

shab dhale aaya andhera
raat-raani ho gaye dukh

इक कहानी हो गए दुख
जावेदानी हो गए दुख

कुछ को जीता कुछ जिगर में
अब निशानी हो गए दुख

रात तारे गिनते गिनते
आसमानी हो गए दुख

ख़ुद को छोटा कर लिया जब
मेरे सानी हो गए दुख

हल्का हल्का लग रहा दिल
जब से पानी हो गए दुख

शब ढले आया अँधेरा
रात-रानी हो गए दुख

  - Sohil Barelvi

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari