khud se hi dar rahe hain bahut din kharaab hain
ye kaise vasvase hain bahut din kharaab hain
khatron mein pad gai hai parindon ki zindagi
jungle ujad chuke hain bahut din kharaab hain
jin ke baghair jeena mujhe aa gaya tha vo
seene se aa lage hain bahut din kharaab hain
kya kya bayaan kar gaya khat aapka janab
aansu nikal pade hain bahut din kharaab hain
manzil qareeb ho ke bhi haasil nahin hamein
yaaron ke qafile hain bahut din kharaab hain
ab khud-kushi ke raaste se aata nahin koi
sab sach mein mar rahe hain bahut din kharaab hain
ghairon se mil ke zakhm hare ho gaye hain yaar
apne bichhad chuke hain bahut din kharaab hain
kitne hi be-qusoor sar-e-daar chad gaye
sarkaar ke maze hain bahut din kharaab hain
apnon ke haath aa gaye teer-o-kamaan aur
apne hi saamne hain bahut din kharaab hain
aish-o-tarab ke saath hain kuchh gham bhi aur shareek
ye kaise marhale hain bahut din kharaab hain
koocha-e-dilbaraan mein bhi sohil janab aap
aashufta sar khade hain bahut din kharaab hain
ख़ुद से ही डर रहे हैं बहुत दिन ख़राब हैं
ये कैसे वसवसे हैं बहुत दिन ख़राब हैं
ख़तरों में पड़ गई है परिंदों की ज़िंदगी
जंगल उजड़ चुके हैं बहुत दिन ख़राब हैं
जिन के बग़ैर जीना मुझे आ गया था वो
सीने से आ लगे हैं बहुत दिन ख़राब हैं
क्या क्या बयान कर गया ख़त आपका जनाब
आँसू निकल पड़े हैं बहुत दिन ख़राब हैं
मंज़िल क़रीब हो के भी हासिल नहीं हमें
यारों के क़ाफ़िले हैं बहुत दिन ख़राब हैं
अब ख़ुद-कुशी के रस्ते से आता नहीं कोई
सब सच में मर रहे हैं बहुत दिन ख़राब हैं
ग़ैरों से मिल के ज़ख़्म हरे हो गए हैं यार
अपने बिछड़ चुके हैं बहुत दिन ख़राब हैं
कितने ही बे-क़ुसूर सर-ए-दार चढ़ गए
सरकार के मज़े हैं बहुत दिन ख़राब हैं
अपनों के हाथ आ गए तीर-ओ-कमान और
अपने ही सामने हैं बहुत दिन ख़राब हैं
ऐश-ओ-तरब के साथ हैं कुछ ग़म भी और शरीक
ये कैसे मरहले हैं बहुत दिन ख़राब हैं
कूचा-ए-दिलबराँ में भी सोहिल जनाब आप
आशुफ़्ता सर खड़े हैं बहुत दिन ख़राब हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Khat Shayari Shayari