jo bhi mujh ko ab apnaaye | जो भी मुझ को अब अपनाए

  - Sohil Barelvi

jo bhi mujh ko ab apnaaye
pehle apna dil dikhlaaye

pehle socha hota to tum
kyun karte ab haaye haaye

kaam bigaara sab ne mil kar
mujh par hi sab kyun chillaaye

logon ne bas patthar maare
rooh talak to hamne khaaye

saamne waala ujlat mein hai
apna qissa kaun sunaaye

marne waale ka bhi sohil
kab tak koi sog manaae

जो भी मुझ को अब अपनाए
पहले अपना दिल दिखलाए

पहले सोचा होता तो तुम
क्यूँ करते अब हाए हाए

काम बिगाड़ा सब ने मिल कर
मुझ पर ही सब क्यूँ चिल्लाए

लोगों ने बस पत्थर मारे
रूह तलक तो हमने खाए

सामने वाला उजलत में है
अपना क़िस्सा कौन सुनाए

मरने वाले का भी सोहिल
कब तक कोई सोग मनाए

  - Sohil Barelvi

Kahani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Kahani Shayari Shayari