mohabbat jis ghadi kar ne chale the
hamaari akl par patthar pade the
ujad kar rah gaya dil ka gulistaan
zamaane pehle yaa par gul khile the
hamein bhi kha gai aakhir nigodi
bade kisse mohabbat ke sune the
taqaza waqt ka samjho miyaan kuchh
vo din ab bhool jaao jo bure the
yahan aa kar bahut hairat-zada hain
yahin ik roz khul kar hans rahe the
museebat do-guna badhne lagin ab
guzishta waqt mein kitne maze the
hatheli par hamaara dil rakha tha
tere haathon mein jab khanjar chhupe the
kisi taale lage kamre mein hain ab
tumhaare naam jo bhi khat likhe the
मोहब्बत जिस घड़ी कर ने चले थे
हमारी अक्ल पर पत्थर पड़े थे
उजड़ कर रह गया दिल का गुलिस्ताँ
ज़माने पहले याँ पर गुल खिले थे
हमें भी खा गई आख़िर निगोड़ी
बड़े क़िस्से मोहब्बत के सुने थे
तक़ाज़ा वक़्त का समझो मियाँ कुछ
वो दिन अब भूल जाओ जो बुरे थे
यहाँ आ कर बहुत हैरत-ज़दा हैं
यहीं इक रोज़ खुल कर हँस रहे थे
मुसीबत दो-गुना बढ़ने लगीं अब
गुज़िश्ता वक़्त में कितने मज़े थे
हथेली पर हमारा दिल रखा था
तेरे हाथों में जब खंजर छुपे थे
किसी ताले लगे कमरे में हैं अब
तुम्हारे नाम जो भी ख़त लिखे थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Phool Shayari Shayari