taaweez fel ho gaye sab pyaar vyaar ke
jab se raqeeb aa gaye hisse mein yaar ke
sota hoon jab bhi raat ko main din guzaar ke
hote hain mujh mein yuddh kai aar paar ke
mushkil mein vo bhi kaam mere aa nahin saka
nakhray utha raha tha main jis gham-gusaar ke
do chaar din se maut ka ilhaam ho raha
do chaar din main jee raha vo bhi udhaar ke
aisa nahin ho tu kahi pachhtaaye umr bhar
main thak chuka hoon yaar tujhe ab pukaar ke
saahil bhi dost door hai kashti bhi naatvaan
mujh ko to lautna bhi hai tujh ko utaar ke
phir us ke baad ho gaya main teergi mein gurz
do chaar din to main ne bhi dekhe the pyaar ke
तावीज़ फेल हो गए सब प्यार व्यार के
जब से रक़ीब आ गए हिस्से में यार के
सोता हूँ जब भी रात को मैं दिन गुज़ार के
होते हैं मुझ में युद्ध कई आर पार के
मुश्किल में वो भी काम मेरे आ नहीं सका
नखरे उठा रहा था मैं जिस ग़म-गुसार के
दो चार दिन से मौत का इल्हाम हो रहा
दो चार दिन मैं जी रहा वो भी उधार के
ऐसा नहीं हो तू कहीं पछताए उम्र भर
मैं थक चुका हूँ यार तुझे अब पुकार के
साहिल भी दोस्त दूर है कश्ती भी नातवाँ
मुझ को तो लौटना भी है तुझ को उतार के
फिर उस के बाद हो गया मैं तीरगी में गर्क़
दो चार दिन तो मैं ने भी देखे थे प्यार के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Dost Shayari Shayari