waqif us se rasta hoga
raaste bhar jo bhatka hoga
pehle naav bhanwar tak jaaye
phir mallaah se jhagda hoga
sar ko thaame baitha hai jo
us ke sar pe bojha hoga
beenaai jo kho baitha hai
us ne sab kuchh dekha hoga
chhoti baatein bhool gaye gar
aur khasaara zyaada hoga
वाक़िफ़ उस से रस्ता होगा
रस्ते भर जो भटका होगा
पहले नाव भँवर तक जाए
फिर मल्लाह से झगड़ा होगा
सर को थामे बैठा है जो
उस के सर पे बोझा होगा
बीनाई जो खो बैठा है
उस ने सब कुछ देखा होगा
छोटी बातें भूल गए गर
और ख़सारा ज़्यादा होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Violence Shayari Shayari