is ka gham hai ki mujhe vaham hua hai shaayad | इस का ग़म है कि मुझे वहम हुआ है शायद

  - Subhan Asad

is ka gham hai ki mujhe vaham hua hai shaayad
koi pahluu mein mere jaag raha hai shaayad

jaagte jaagte pichhli kai raatein guzri
chaand hona meri qismat mein likha hai shaayad

daud jaaun har ik aahat pe kiwaadon ki taraf
aur phir khud ko hi samjhaaoon hawa hai shaayad

us ki baaton se vo ab phool nahin jhadte hain
us ke honton pe abhi mera gila hai shaayad

us ko kholoon to rag-e-dil ko koi dasta hai
yaad ki gathri mein ik saanp chhupa hai shaayad

mujh ko har raah ujaalon se bhari milti hai
ye un aankhon ke charaagon ki dua hai shaayad

इस का ग़म है कि मुझे वहम हुआ है शायद
कोई पहलू में मिरे जाग रहा है शायद

जागते जागते पिछली कई रातें गुज़री
चाँद होना मिरी क़िस्मत में लिखा है शायद

दौड़ जाऊँ हर इक आहट पे किवाड़ों की तरफ़
और फिर ख़ुद को ही समझाऊँ हवा है शायद

उस की बातों से वो अब फूल नहीं झड़ते हैं
उस के होंटों पे अभी मेरा गिला है शायद

उस को खोलूँ तो रग-ए-दिल को कोई डसता है
याद की गठरी में इक साँप छुपा है शायद

मुझ को हर राह उजालों से भरी मिलती है
ये उन आँखों के चराग़ों की दुआ है शायद

  - Subhan Asad

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Subhan Asad

As you were reading Shayari by Subhan Asad

Similar Writers

our suggestion based on Subhan Asad

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari