hain lazzat-e-hayaat to kuchh talkhiyaan bhi hain
hansne ke saath saath yahan siskiyaan bhi hain
aankhon ke raaste se nikalte hain ranj-o-gham
achha hai is makaan mein kuchh khidkiyaan bhi hain
kahte hain log tujh ko gul-e-badnaseeb bhi
sunti hoon justajoo mein teri titliyan bhi hain
toofan bhi shabaab pe aane laga udhar
betaab doobne ko idhar kashtiyaan bhi hain
chheda na kijie mujhe main aisi sham'a hoon
daaman bacha ke jis se chaliin aandhiyaan bhi hain
aatish fishaan se door raha kar zara suman
suraj ke paas dekh kahi bastiyaan bhi hain
हैं लज़्ज़त-ए-हयात तो कुछ तल्ख़ियाँ भी हैं
हँसने के साथ साथ यहाँ सिसकियाँ भी हैं
आँखों के रास्ते से निकलते हैं रंज-ओ-ग़म
अच्छा है इस मकान में कुछ खिड़कियाँ भी हैं
कहते हैं लोग तुझ को गुल-ए-बदनसीब भी
सुनती हूँ जुस्तजू में तेरी तितलियाँ भी हैं
तूफान भी शबाब पे आने लगा उधर
बेताब डूबने को इधर कश्तियाँ भी हैं
छेड़ा न कीजिए मुझे मैं ऐसी शम'अ हूँ
दामन बचा के जिस से चलीं आँधियाँ भी हैं
आतिश- फ़िशां से दूर रहा कर ज़रा 'सुमन'
सूरज के पास देख कहीं बस्तियाँ भी हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Suman dhingra duggal Dhingra
As you were reading Titliyan Shayari Shayari