jod kar phir ghatta kar udaasi | जोड़ कर फिर घटा कर उदासी - Swarnim Aditya

jod kar phir ghatta kar udaasi
bach gai mujhmein yaksar udaasi

apni tafseel kar doon zara main
jee to phir pehla number udaasi

haal akshar vo jab poochhti hai
hansne lagta hoon kah kar udaasi

ishq kii aad mein lagta hai phir
saath laai hai paikar udaasi

kyun ganit ke pahaadoon ke jaise
yaad hai mujhko azbar udaasi

main bahut khush tha ik roz aur phir
aayi kab saj sanwar kar udaasi

yun gala mat daba saadgi se
maar seene mein khanjar udaasi

ik shajar se khizaan ke dinon mein
gir rahi hai bhayankar udaasi

saal mein kuchh maheene musalsal
january se december udaasi

जोड़ कर फिर घटा कर उदासी
बच गई मुझमें यकसर उदासी

अपनी तफ़्सील कर दूँ ज़रा मैं
जी तो फिर पहला नंबर उदासी

हाल अक्सर वो जब पूछती है
हँसने लगता हूँ कह कर उदासी

इश्क़ की आड़ में लगता है फिर
साथ लाई है पैकर उदासी

क्यूँ गणित के पहाड़ों के जैसे
याद है मुझको अज़बर उदासी

मैं बहुत ख़ुश था इक रोज़ और फिर
आई कब सज सँवर कर उदासी

यूँ गला मत दबा सादगी से
मार सीने में ख़ंजर उदासी

इक शजर से ख़िज़ाँ के दिनों में
गिर रही है भयंकर उदासी

साल में कुछ महीने मुसलसल
जनवरी से दिसंबर उदासी

- Swarnim Aditya
2 Likes

More by Swarnim Aditya

As you were reading Shayari by Swarnim Aditya

Similar Writers

our suggestion based on Swarnim Aditya

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari