koi kehta hai khuda zameen se gaya nahin | कोई कहता है ख़ुदा ज़मीं से गया नहीं

  - Tabassum Zia

koi kehta hai khuda zameen se gaya nahin
magar kya wajh hai ki shaitaan boodhe nahin hote
un ka tooti bolta hai
haan zaif kaam karne se qasir hota hai
aur nazm buzurgon se muqaabla nahin karti

main mar jaaunga
yaqeenan mujhe marna hai
lekin us nazm ko jise main ne kuchh der pehle janaa
use qatl karna mumkin nahin
mere nafs hone ki ye aakhiri daleel zinda rahegi

कोई कहता है ख़ुदा ज़मीं से गया नहीं
मगर क्या वज्ह है कि शैतान बूढे नहीं होते
उन का तूती बोलता है
हाँ ज़ईफ़ काम करने से क़ासिर होता है
और नज़्म बुज़ुर्गों से मुक़ाबला नहीं करती

मैं मर जाऊँगा
यक़ीनन मुझे मरना है
लेकिन उस नज़्म को जिसे मैं ने कुछ देर पहले जना
उसे क़त्ल करना मुमकिन नहीं
मेरे नफ़्स होने की ये आख़िरी दलील ज़िंदा रहेगी

  - Tabassum Zia

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Zia

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari