kaisa lahja tha kis haal mein vo rahi ek hi saans mein | कैसा लहजा था किस हाल में वो रही एक ही साँस में

  - Tahir Hanfi

kaisa lahja tha kis haal mein vo rahi ek hi saans mein
kehne waali kahaani meri kah gai ek hi saans mein

ye bhala kya ki ik ek ghoont apne andar utarta rahe
may agar tu ne peeni hai to saari pee ek hi saans mein

ek hi saans mein hai samaaya hua ye jahaan ai khuda
ham ne saari khudaai tiri dekh li ek hi saans mein

jitne bhi ahl-e-mehfil the munh vo mera dekhte rah gaye
bazm mein un ki taarif kuchh aise ki ek hi saans mein

un ke honton ka lams aise chehre pe mehsoos hota raha
ham ne saari hayaati yoonhi kaat li ek hi saans mein

ek hi saans mein ham ne taahir sabhi kuchh kaha aap se
jo bhi kehna hai kah deejie aap bhi ek hi saans mein

कैसा लहजा था किस हाल में वो रही एक ही साँस में
कहने वाली कहानी मिरी कह गई एक ही साँस में

ये भला क्या कि इक एक घूँट अपने अंदर उतरता रहे
मय अगर तू ने पीनी है तो सारी पी एक ही साँस में

एक ही साँस में है समाया हुआ ये जहाँ ऐ ख़ुदा
हम ने सारी ख़ुदाई तिरी देख ली एक ही साँस में

जितने भी अहल-ए-महफ़िल थे मुँह वो मिरा देखते रह गए
बज़्म में उन की तारीफ़ कुछ ऐसे की एक ही साँस में

उन के होंटों का लम्स ऐसे चेहरे पे महसूस होता रहा
हम ने सारी हयाती यूँही काट ली एक ही साँस में

एक ही साँस में हम ने 'ताहिर' सभी कुछ कहा आप से
जो भी कहना है कह दीजिए आप भी एक ही साँस में

  - Tahir Hanfi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Hanfi

As you were reading Shayari by Tahir Hanfi

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Hanfi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari