gali gali mein utar chuke hain kitaab-aankhon ke zinda nohe | गली गली में उतर चुके हैं किताब-आँखों के ज़िंदा नौहे

  - Tahir Hanfi

gali gali mein utar chuke hain kitaab-aankhon ke zinda nohe
haseen chehron ka surkh maatam sharaab-aankhon ke zinda nohe

zameen ke seene mein zinda hain jo agar sama'at hai sun sako to
meri nigaahon se aaj sun lo hijaab-aankhon ke zinda nohe

ki meri ghazalon mein meri nazmon mein karb aa kar simat gaya hai
mere qalam se nikal rahe hain janab aankhon ke zinda nohe

ye kis ke dil mein utar raha hai azaab aankhon ka ashk ban kar
ye kis ke chehre se kar rahe hain khitaab aankhon ke zinda nohe

main taahir un ke labon ki muskaan chaah kar bhi na likh sakunga
ki saath mere rahe hain jin ki gulaab-aankhon ke zinda nohe

गली गली में उतर चुके हैं किताब-आँखों के ज़िंदा नौहे
हसीन चेहरों का सुर्ख़ मातम शराब-आँखों के ज़िंदा नौहे

ज़मीं के सीने में ज़िंदा हैं जो अगर समाअ'त है सुन सको तो
मिरी निगाहों से आज सुन लो हिजाब-आँखों के ज़िंदा नौहे

कि मेरी ग़ज़लों में मेरी नज़्मों में कर्ब आ कर सिमट गया है
मिरे क़लम से निकल रहे हैं जनाब आँखों के ज़िंदा नौहे

ये किस के दिल में उतर रहा है अज़ाब आँखों का अश्क बन कर
ये किस के चेहरे से कर रहे हैं ख़िताब आँखों के ज़िंदा नौहे

मैं 'ताहिर' उन के लबों की मुस्कान चाह कर भी न लिख सकूँगा
कि साथ मेरे रहे हैं जिन की गुलाब-आँखों के ज़िंदा नौहे

  - Tahir Hanfi

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Hanfi

As you were reading Shayari by Tahir Hanfi

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Hanfi

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari