naddiyon ke paani mein choodiyaan khanakti hain | नद्दियों के पानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

  - Tahir Hanfi

naddiyon ke paani mein choodiyaan khanakti hain
dard ki rawaani mein choodiyaan khanakti hain

yaad jab vo aati hai saaz bajne lagte hain
pyaar ki nishaani mein choodiyaan khanakti hain

ik dhanak utarti hai us ke saath aangan mein
rang-e-aasmaani mein choodiyaan khanakti hain

lafz gungunaate hain subh ke ujaale mein
husn-e-naujawaani mein choodiyaan khanakti hain

aaj yaad-e-rafta ne sair ki peshaawar ki
ab bhi qissa-khwaani mein choodiyaan khanakti hain

jab alaav raushan ho log baith jaate hain
raat bhar kahaani mein choodiyaan khanakti hain

hai yaqeen gumaan jaisa aur gumaan yaqeen jaisa
kis ki khush-gumaani mein choodiyaan khanakti hain

intizaar karta hai aaj bhi tira taahir
ab bhi rut-suhaani mein choodiyaan khanakti hain

नद्दियों के पानी में चूड़ियाँ खनकती हैं
दर्द की रवानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

याद जब वो आती है साज़ बजने लगते हैं
प्यार की निशानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

इक धनक उतरती है उस के साथ आँगन में
रंग-ए-आसमानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

लफ़्ज़ गुनगुनाते हैं सुब्ह के उजाले में
हुस्न-ए-नौजवानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

आज याद-ए-रफ़्ता ने सैर की पेशावर की
अब भी क़िस्सा-ख़्वानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

जब अलाव रौशन हो लोग बैठ जाते हैं
रात भर कहानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

है यक़ीं गुमाँ जैसा और गुमाँ यक़ीं जैसा
किस की ख़ुश-गुमानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

इंतिज़ार करता है आज भी तिरा 'ताहिर'
अब भी रुत-सुहानी में चूड़ियाँ खनकती हैं

  - Tahir Hanfi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Hanfi

As you were reading Shayari by Tahir Hanfi

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Hanfi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari