mo'jiza ye hai ki manzil ke nishaan tak pahunchen
barf ke log bhi suraj ke jahaan tak pahunchen
kitne mitti ke badan tez hawaon ke tufail
kaaghazi naav mein paani ke makaan tak pahunchen
main ki zulmat mein muqaffal hoon kabhi mere khuda
subh ki pehli kiran mere makaan tak pahunchen
ham vo naadaan ki patthar ke khilone lene
ghar se nikle bhi to sheeshe ki dukaaan tak pahunchen
baarish-e-ashk thami aankh dhanak rang hui
doob ke dukh ke samundar mein kahaan tak pahunchen
yaar ka hukm tha dildaar pe laazim thehra
la-makaan chhod ke mitti ke makaan tak pahunchen
mauj-dar-mauj girah baandhne taahir-hanfi
haath mein ashk liye aab-e-ravaan tak pahunchen
मो'जिज़ा ये है कि मंज़िल के निशाँ तक पहुँचे
बर्फ़ के लोग भी सूरज के जहाँ तक पहुँचे
कितने मिट्टी के बदन तेज़ हवाओं के तुफ़ैल
काग़ज़ी नाव में पानी के मकाँ तक पहुँचे
मैं कि ज़ुल्मत में मुक़फ़्फ़ल हूँ कभी मेरे ख़ुदा
सुब्ह की पहली किरन मेरे मकाँ तक पहुँचे
हम वो नादान कि पत्थर के खिलौने लेने
घर से निकले भी तो शीशे की दुकाँ तक पहुँचे
बारिश-ए-अश्क थमी आँख धनक रंग हुई
डूब के दुख के समुंदर में कहाँ तक पहुँचे
यार का हुक्म था दिलदार पे लाज़िम ठहरा
ला-मकाँ छोड़ के मिट्टी के मकाँ तक पहुँचे
मौज-दर-मौज गिरह बाँधने 'ताहिर-हनफ़ी'
हाथ में अश्क लिए आब-ए-रवाँ तक पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tahir Hanfi
our suggestion based on Tahir Hanfi
As you were reading Festive Shayari Shayari