baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar | बात सुन ऐ चश्म-ए-तर कुछ होश कर

  - Tahir Hanfi

baat sun ai chashm-e-tar kuchh hosh kar
doob jaayega ye ghar kuchh hosh kar

khud-kushi hi masale ka hal hai kya
baam se waapas utar kuchh hosh kar

dasht ki jaanib chala to hai magar
sakht hai ye raahguzaar kuchh hosh kar

ab kiya jazbaat mein gar faisla
roega tu umr bhar kuchh hosh kar

mat patkh zindaan mein deewaron pe sar
khun se ho jaayengi tar kuchh hosh kar

apni aazaadi na de sayyaad ko
kaat kar khud apne par kuchh hosh kar

jis ko taahir teri kuchh parwa nahin
us ki chaukhat par na mar kuchh hosh kar

बात सुन ऐ चश्म-ए-तर कुछ होश कर
डूब जाएगा ये घर कुछ होश कर

ख़ुद-कुशी ही मसअले का हल है क्या
बाम से वापस उतर कुछ होश कर

दश्त की जानिब चला तो है मगर
सख़्त है ये रहगुज़र कुछ होश कर

अब किया जज़्बात में गर फ़ैसला
रोएगा तू उम्र भर कुछ होश कर

मत पटख़ ज़िंदाँ में दीवारों पे सर
ख़ूँ से हो जाएँगी तर कुछ होश कर

अपनी आज़ादी न दे सय्याद को
काट कर ख़ुद अपने पर कुछ होश कर

जिस को 'ताहिर' तेरी कुछ परवा नहीं
उस की चौखट पर न मर कुछ होश कर

  - Tahir Hanfi

Irada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tahir Hanfi

As you were reading Shayari by Tahir Hanfi

Similar Writers

our suggestion based on Tahir Hanfi

Similar Moods

As you were reading Irada Shayari Shayari